wo mauj-e-KHunuk shahr-e-sharar tak nahin aai
vo mauj-e-ḳhunuk shahr-e-sharar tak nahīñ aa.ī
dariyāoñ kī ḳhushbū mire ghar tak nahīñ aa.ī
sannāTe sajā.e ga.e gul-dānoñ meñ ghar ghar
kho.e hue phūloñ kī ḳhabar tak nahīñ aa.ī
ham ahl-e-junūñ paar utar jā.eñge lekin
kashtī abhī sāhil se bhañvar tak nahīñ aa.ī
sad-shukr tirā raushni-e-tabā ki ham ko
barbād kiyā aur nazar tak nahīñ aa.ī
wo mauj-e-KHunuk shahr-e-sharar tak nahin aai
dariyaon ki KHushbu mere ghar tak nahin aai
sannaTe sajae gae gul-danon mein ghar ghar
khoe hue phulon ki KHabar tak nahin aai
hum ahl-e-junun par utar jaenge lekin
kashti abhi sahil se bhanwar tak nahin aai
sad-shukr tera raushni-e-taba ki hum ko
barbaad kiya aur nazar tak nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.