wo mehrbani-e-yaran-e-mehrban na kaho
vo mehrbānī-e-yārān-e-mehrbāñ na kaho
hamāre sāmne maazī kī dāstāñ na kaho
chhupāo aañkh ke aañsū kisī bahāne se
ye rāz-e-dil hai ise to yahāñ vahāñ na kaho
jo dil dukhā.e kabhī dost ho nahīñ saktā
jo rauñd Daale chaman us ko bāġhbāñ na kaho
bhaTaktā chhoḌ diyā jis ne sab ko raste meñ
muravvatan bhī use mīr-e-kārvāñ na kaho
bahāreñ luuT rahe haiñ tamām vo 'ambar'
hameñ ye hukm ḳhizāñ ko bhī tum ḳhizāñ na kaho
wo mehrbani-e-yaran-e-mehrban na kaho
hamare samne mazi ki dastan na kaho
chhupao aankh ke aansu kisi bahane se
ye raaz-e-dil hai ise to yahan wahan na kaho
jo dil dukhae kabhi dost ho nahin sakta
jo raund Dale chaman us ko baghban na kaho
bhaTakta chhoD diya jis ne sab ko raste mein
murawwatan bhi use mir-e-karwan na kaho
bahaaren luT rahe hain tamam wo 'ambar'
hamein ye hukm KHizan ko bhi tum KHizan na kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.