wo mera yar hai par meri manta nahin hai
vo merā yaar hai par merī māntā nahīñ hai
vo dard detā hai par dard bāñTtā nahīñ hai
yā us ko merī zabāñ kī samajh nahīñ aatī
yā jān-būjh ke is samt dekhtā nahīñ hai
tū us ke paas kabhī jā ke thoḌā vaqt guzār
ki jitnā tū ne sunā utnā vo burā nahīñ hai
vo bolī tere liye ḳhāndān kyuuñ chhoḌūñ
'vaqār' tujh se mirā rishta ḳhuun kā nahīñ hai
wo mera yar hai par meri manta nahin hai
wo dard deta hai par dard banTta nahin hai
ya us ko meri zaban ki samajh nahin aati
ya jaan-bujh ke is samt dekhta nahin hai
tu us ke pas kabhi ja ke thoDa waqt guzar
ki jitna tu ne suna utna wo bura nahin hai
wo boli tere liye KHandan kyun chhoDun
'waqar' tujh se mera rishta KHun ka nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.