wo mere pas jin raaton mein hoga
vo mere paas jin rātoñ meñ hogā
maza kuchh aur hī bātoñ meñ hogā
abhī kuchh kuchh jhijak hai be-takalluf
kahīñ do ik mulāqātoñ meñ hogā
nazar aa.egī us meñ shakl merī
jo ā.īna tire hāthoñ meñ hogā
ye kab samjhī thī maiñ shādī ke pahle
mirā sab kuchh tire hāthoñ meñ hogā
maiñ aglī pichhlī manvā lūñgī us se
kabhī jab mehrbāñ rātoñ meñ hogā
na us ke jul meñ ab tak aa.ī 'sajnī'
magar ab bhī muā ghātoñ meñ hogā
wo mere pas jin raaton mein hoga
maza kuchh aur hi baaton mein hoga
abhi kuchh kuchh jhijak hai be-takalluf
kahin do ek mulaqaton mein hoga
nazar aaegi us mein shakl meri
jo aaina tere hathon mein hoga
ye kab samjhi thi main shadi ke pahle
mera sab kuchh tere hathon mein hoga
main agli pichhli manwa lungi us se
kabhi jab mehrban raaton mein hoga
na us ke jul mein ab tak aai 'sajni'
magar ab bhi mua ghaton mein hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.