Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo mere qalb ko chhedega kab guman mein tha

Aatish Bahawalpuri

wo mere qalb ko chhedega kab guman mein tha

Aatish Bahawalpuri

MORE BYAatish Bahawalpuri

    vo mere qalb ko chhedegā kab gumān meñ thā

    jo ek tiir mire dost kamān meñ thā

    vo zer-e-sāya-e-altāf-e-bāġhbān meñ thā

    jo āshiyāna zad-e-barq-e-be-amān meñ thā

    figār lai se huā merī sīna-e-nai bhī

    nafas nafas tirī chāhat imtihān meñ thā

    ye mo.ajaza thā yaqīnan tirī mohabbat

    jo auj-e-fikr-o-taḳhayyul mire bayān meñ thā

    vo jis ne dhuup parchhā.īñ tak nahīñ daabī

    use samajhte ho har lamha sā.ebān meñ thā

    muḳhālifoñ ko bhī apnā banā liyā ne

    ajiib tarah jaadū tirī zabān meñ thā

    niyāz-e-ishq ne āḳhir uThā diyā 'ātish'

    vo ek parda haa.el jo darmiyān meñ thā

    wo mere qalb ko chhedega kab guman mein tha

    jo ek tir mere dost ki kaman mein tha

    wo zer-e-saya-e-altaf-e-baghban mein tha

    jo aashiyana zad-e-barq-e-be-aman mein tha

    figar lai se hua meri sina-e-nai bhi

    nafas nafas teri chahat ka imtihan mein tha

    ye moajaza tha yaqinan teri mohabbat ka

    jo auj-e-fikr-o-taKHayyul mere bayan mein tha

    wo jis ne dhup ki parchhain tak nahin dabi

    use samajhte ho har lamha saeban mein tha

    muKHalifon ko bhi apna bana liya tu ne

    ajib tarah ka jadu teri zaban mein tha

    niyaz-e-ishq ne aaKHir uTha diya 'atish'

    wo ek parda sa hael jo darmiyan mein tha

    Source :
    • Book : Jada-e-manzil (Pg. 15)
    • Author : Atish Bahawalpuri
    • Publication : Nirali Duniya Publications (2001)
    • Edition : 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now