wo mere sath safar mein to chalne wala hai
vo mere saath safar meñ to chalne vaalā hai
kahīñ vo chupke se rasta badalne vaalā hai
baras bhī jaa.e vo bādal to kis ko pardā hai
lahū to aañkh se phir bhī nikalne vaalā hai
maiñ us ke ḳhvāb se aage bhī us ko le jā.ūñ
magar vo baat ko apnī badalne vaalā hai
jidhar bhī jā.ūñ maiñ raste pukār uThte haiñ
azaab raat kā hargiz na Talne vaalā hai
chalo pahāḌ ke us paar chal ke dekheñge
hamāre naam dafīna nikalne vaalā hai
vafā ke naam pe maiñ ne jo choT khaa.ī hai
tirā mizāj bhī shāyad badalne vaalā hai
wo mere sath safar mein to chalne wala hai
kahin wo chupke se rasta badalne wala hai
baras bhi jae wo baadal to kis ko parda hai
lahu to aankh se phir bhi nikalne wala hai
main us ke KHwab se aage bhi us ko le jaun
magar wo baat ko apni badalne wala hai
jidhar bhi jaun main raste pukar uThte hain
azab raat ka hargiz na Talne wala hai
chalo pahaD ke us par chal ke dekhenge
hamare nam dafina nikalne wala hai
wafa ke nam pe main ne jo choT khai hai
tera mizaj bhi shayad badalne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.