wo mere wajud ka sila hai
vo mere vajūd kā sila hai
yā ruuh ke vāste ridā hai
kis dil se lahū kī fasl bo.eñ
jab ḳhuun hī ḳhuun se judā hai
har shaḳhs hai dushmanoñ kī zad par
ab mujh sā koī kahāñ rahā hai
har samt udāsiyāñ milī haiñ
hālāt se bas yahī gila hai
chehre pe masarrateñ sajā.e
jo bhī ġhamoñ meñ pal rahā hai
'manzar' ise jāntā maiñ kaise
jo mujh ko kabhī nahīñ milā hai
wo mere wajud ka sila hai
ya ruh ke waste rida hai
kis dil se lahu ki fasl boen
jab KHun hi KHun se juda hai
har shaKHs hai dushmanon ki zad par
ab mujh sa koi kahan raha hai
har samt udasiyan mili hain
haalat se bas yahi gila hai
chehre pe masarraten sajae
jo bhi ghamon mein pal raha hai
'manzar' ise jaanta main kaise
jo mujh ko kabhi nahin mila hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.