wo meri bazm mein aae the yun naqab ke sath
vo merī bazm meñ aa.e the yuuñ naqāb ke saath
ho jaise abr kā TukḌā bhī māhtāb ke saath
jo maiñ ne kah diyā kāfir-adā to kyuuñ bigḌe
zamāna tum se hai vāqif isī ḳhitāb ke saath
ye maanā merī ḳhatā thī ki dil lagā baiThā
nazar tum aa.e the kyuuñ fitna-e-shabāb ke saath
diyā jo muñh se lagā kar to khiñch ga.ī tasvīr
maiñ pī gayā huuñ tumheñ bhī usī sharāb ke saath
hai ashk āñkhoñ se jaarī to dil hai shoa.la-fishāñ
ajiib rabt hai ātish kā mauj-e-āb ke saath
samajh meñ aa na sakā jis kā falsafa ab tak
hurūf-e-dil kā ta.alluq hai us kitāb ke saath
guloñ pe qatra-e-shabnam kī zindagī kab tak
fanā hai jis ke muqaddar meñ āftāb ke saath
wo meri bazm mein aae the yun naqab ke sath
ho jaise abr ka TukDa bhi mahtab ke sath
jo main ne kah diya kafir-ada to kyun bigDe
zamana tum se hai waqif isi KHitab ke sath
ye mana meri KHata thi ki dil laga baiTha
nazar tum aae the kyun fitna-e-shabab ke sath
diya jo munh se laga kar to khinch gai taswir
main pi gaya hun tumhein bhi usi sharab ke sath
hai ashk aankhon se jari to dil hai shoala-fishan
ajib rabt hai aatish ka mauj-e-ab ke sath
samajh mein aa na saka jis ka falsafa ab tak
huruf-e-dil ka talluq hai us kitab ke sath
gulon pe qatra-e-shabnam ki zindagi kab tak
fana hai jis ke muqaddar mein aaftab ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.