wo meri chashm-e-tar mein aa gaya hai
vo merī chashm-e-tar meñ aa gayā hai
nasha ban ke jo mujh pe chhā gayā hai
vo jis ne mābadoñ meñ mujh ko māñgā
vo shaḳhs ab raah meñ Thukrā gayā hai
jise dekhā na maiñ ne ḳhvāb meñ bhī
ta.āqub meñ vo ghar tak aa gayā hai
baḌe armāñ se jo ta.amīr kī thī
mirī vo jhoñpaḌī kuī Dhā gayā hai
wo meri chashm-e-tar mein aa gaya hai
nasha ban ke jo mujh pe chha gaya hai
wo jis ne mabadon mein mujh ko manga
wo shaKHs ab rah mein Thukra gaya hai
jise dekha na main ne KHwab mein bhi
taaqub mein wo ghar tak aa gaya hai
baDe arman se jo tamir ki thi
meri wo jhonpaDi kui Dha gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.