wo meri rah se ab muskura kar kyon nahin jata
vo merī raah se ab muskurā kar kyoñ nahīñ jaatā
maiñ us kī raah taknā chhoḌ ke ghar kyoñ nahīñ jaatā
gar us kā pyaar sachchā hai mirī qasmeñ kyoñ khātī hai
agar jhūTī hai vo laḌkī to maiñ mar kyoñ nahīñ jaatā
agar dil meñ mohabbat hai to phir ye be-ḳhayālī kyoñ
agar nafrat hai jo dil meñ to dil bhar kyoñ nahīñ jaatā
bichhaḌne kī ḳhushī hai to mirī āñkhoñ meñ aañsū kyoñ
agar ġham hai jo furqat kā to maiñ mar kyoñ nahīñ jaatā
zamāna ho gayā mujh se alag rahte hue mujh ko
magar phir bhī zehn se vo sitamgar kyoñ nahīñ jaatā
wo meri rah se ab muskura kar kyon nahin jata
main us ki rah takna chhoD ke ghar kyon nahin jata
gar us ka pyar sachcha hai meri qasmen kyon khati hai
agar jhuTi hai wo laDki to main mar kyon nahin jata
agar dil mein mohabbat hai to phir ye be-KHayali kyon
agar nafrat hai jo dil mein to dil bhar kyon nahin jata
bichhaDne ki KHushi hai to meri aankhon mein aansu kyon
agar gham hai jo furqat ka to main mar kyon nahin jata
zamana ho gaya mujh se alag rahte hue mujh ko
magar phir bhi zehn se wo sitamgar kyon nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.