wo meri zat ke andar dikhai deta hai
vo merī zaat ke andar dikhā.ī detā hai
ye mujh ko ḳhvāb meñ aksar dikhā.ī detā hai
vahāñ se ho ke tirī zindagī meñ ā.ūñgā
jahāñ se maut kā manzar dikhā.ī detā hai
mire vujūd se dariyā kā 'aks dekhoge
kahīñ kahīñ to samundar dikhā.ī detā hai
dhaḌakte dil ko tum āb-e-ravāñ samajhte raho
mujhe to qaid meñ patthar dikhā.ī detā hai
wo meri zat ke andar dikhai deta hai
ye mujh ko KHwab mein aksar dikhai deta hai
wahan se ho ke teri zindagi mein aaunga
jahan se maut ka manzar dikhai deta hai
mere wujud se dariya ka 'aks dekhoge
kahin kahin to samundar dikhai deta hai
dhaDakte dil ko tum aab-e-rawan samajhte raho
mujhe to qaid mein patthar dikhai deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.