Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo miThe bolon ke jadu kahan gae

Imran Shamshad Narmi

wo miThe bolon ke jadu kahan gae

Imran Shamshad Narmi

MORE BYImran Shamshad Narmi

    vo mīThe boloñ ke jaadū kahāñ ga.e

    bolne vaale achchhī urdu kahāñ ga.e

    kaañ ai bolte haiñ he khā jaate haiñ

    vo lahjoñ lafzoñ par qaabū kahāñ ga.e

    bañgālī ke vo kaale aur jāmunī chūran

    vo chaTḳhāre haahā hū-hū kahāñ ga.e

    qulfī vaale baabā reḌhī ghanTī

    aur gole ġhanDe ke ras-jū kahāñ ga.e

    laḌkoñ vo māchis aur lakḌī khel

    aag meñ pakne vaale aalū kahāñ ga.e

    jab ham donoñ ham the to bāham the ham

    jab se hue haiñ maiñ maiñ tū-tū kahāñ ga.e

    vo rīleñ vo camere jaane kahāñ paḌe haiñ

    ye bhī yaad nahīñ vo photo kahāñ ga.e

    golī pistol launcher aur bam laayā kaun

    lāteñ mukke DanDe chāqū kahāñ ga.e

    lohe aur cement meñ duniyā simaT ga.ī hai

    hare hare lahrāte jaadū kahāñ ga.e

    wo miThe bolon ke jadu kahan gae

    bolne wale achchhi urdu kahan gae

    kan ja ra ai bolte hain he kha jate hain

    wo lahjon lafzon par qabu kahan gae

    bangali ke wo kale aur jamuni churan

    wo chaTKHare haha hu-hu kahan gae

    qulfi wale baba ki reDhi ki ghanTi

    aur gole ghanDe ke ras-ju kahan gae

    laDkon ka wo machis aur lakDi ka khel

    aag mein pakne wale aalu kahan gae

    jab hum donon hum the to baham the hum

    jab se hue hain main main tu-tu kahan gae

    wo rilen wo camere jaane kahan paDe hain

    ye bhi yaad nahin wo photo kahan gae

    goli pistol launcher aur bam laya kaun

    laten mukke DanDe chaqu kahan gae

    lohe aur cement mein duniya simaT gai hai

    hare hare lahraate jadu kahan gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now