wo mila mujhko na jaane KHol kaisa oDh kar
vo milā mujh ko na jaane ḳhol kaisā oḌh kar
raushnī gum ho ga.ī apnā hī saayā oḌh kar
niiñd se bojhal haiñ patte ūñghte se peḌ haiñ
shahr soyā hai ḳhamoshī kā labāda oḌh kar
DhūñDhtā phirtā thā maiñ har shaḳhs ke aslī nuqūsh
log milte the mujhe chehre pe chehrā oḌh kar
munjamid sā ho gayā huuñ ḳhunkī-e-ehsās se
dhuup bhī niklī hai lekin tan pe kapḌā oḌh kar
rang saare dho gayā hai raat kā bādal 'nasīm'
aur ghar nañge hue paanī barastā oḌh kar
wo mila mujh ko na jaane KHol kaisa oDh kar
raushni gum ho gai apna hi saya oDh kar
nind se bojhal hain patte unghte se peD hain
shahr soya hai KHamoshi ka labaada oDh kar
DhunDhta phirta tha main har shaKHs ke asli nuqush
log milte the mujhe chehre pe chehra oDh kar
munjamid sa ho gaya hun KHunki-e-ehsas se
dhup bhi nikli hai lekin tan pe kapDa oDh kar
rang sare dho gaya hai raat ka baadal 'nasim'
aur ghar nange hue pani barasta oDh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.