wo mile hain magar malul hain hum
wo mile hain magar malul hain hum
Masood Maikash Muradabadi
MORE BYMasood Maikash Muradabadi
vo mile haiñ magar malūl haiñ ham
jo ḳhizāñ meñ khile vo phuul haiñ ham
ham ko zulmat-panāh mat jaano
ik na.ī sub.h ke rasūl haiñ ham
is tavajjoh kā kyā Thikāna hai
terī pahlī nazar kī bhuul haiñ ham
tishnagī to hameñ qubūl na thī
tishnagī ko magar qubūl haiñ ham
us badaltī nigāh se pūchho
ishq kā mo'atabar usuul haiñ ham
kitne be-kaif kis qadar be-rañg
kis kī taḳhlīq kā husūl haiñ ham
pyaar kī chāñdnī meñ khilte haiñ
dasht-e-insāniyat ke phuul haiñ ham
zindagī ne kahā ujālā haiñ
maut ne jab kahā fuzūl haiñ ham
aaj bhī mīr-e-kārvāñ tum ho
aaj bhī rahguzar kī dhuul haiñ ham
wo mile hain magar malul hain hum
jo KHizan mein khile wo phul hain hum
hum ko zulmat-panah mat jaano
ek nai subh ke rasul hain hum
is tawajjoh ka kya Thikana hai
teri pahli nazar ki bhul hain hum
tishnagi to hamein qubul na thi
tishnagi ko magar qubul hain hum
us badalti nigah se puchho
ishq ka mo'atabar usul hain hum
kitne be-kaif kis qadar be-rang
kis ki taKHliq ka husul hain hum
pyar ki chandni mein khilte hain
dasht-e-insaniyat ke phul hain hum
zindagi ne kaha ujala hain
maut ne jab kaha fuzul hain hum
aaj bhi mir-e-karwan tum ho
aaj bhi rahguzar ki dhul hain hum
- Book : KHuli kitab (Pg. 15)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.