wo mera aashna nahin hota
vo mirā āshnā nahīñ hotā
kaash ye vāqi'a nahīñ hotā
bhuuk aur maut ke 'alāva ab
ġhaib se kuchh 'atā nahīñ hotā
dard hotā hai ek jaisā hī
zaḳhm chhoTā baḌā nahīñ hotā
bas achānak hī chhū liyā thā use
is tarah bār-hā nahīñ hotā
aap 'tauqīr' se nahīñ vāqif
kuchh bhī kah do ḳhafā nahīñ hotā
wo mera aashna nahin hota
kash ye waqi'a nahin hota
bhuk aur maut ke 'alawa ab
ghaib se kuchh 'ata nahin hota
dard hota hai ek jaisa hi
zaKHm chhoTa baDa nahin hota
bas achanak hi chhu liya tha use
is tarah bar-ha nahin hota
aap 'tauqir' se nahin waqif
kuchh bhi kah do KHafa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.