wo mera hoga ye socha hi nahin
vo mirā hogā ye sochā hī nahīñ
ḳhvāb aisā koī dekhā hī nahīñ
yuuñ to har hādsa bhūlā lekin
us kā milnā kabhī bhūlā hī nahīñ
merī rātoñ ke siyah āñgan meñ
chāñd koī kabhī chamkā hī nahīñ
ye ta.alluq bhī rahe yā na rahe
Dil-qalandar kā Thikānā hī nahīñ
wo mera hoga ye socha hi nahin
KHwab aisa koi dekha hi nahin
yun to har hadsa bhula lekin
us ka milna kabhi bhula hi nahin
meri raaton ke siyah aangan mein
chand koi kabhi chamka hi nahin
ye talluq bhi rahe ya na rahe
Dil-qalandar ka Thikana hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.