wo mera kaun hai aaina dikhata kyon hai
vo mirā kaun hai ā.īna dikhātā kyoñ hai
hādisa ban ke mire sāmne aatā kyoñ hai
maiñ ne kab ghar kī udāsī kī shikāyat kī hai
koī aaseb sar-e-shām Darātā kyoñ hai
vo mirī raah kā patthar to nahīñ hai lekin
mujh ko har baar ye ehsās dilātā kyoñ hai
phir ka.ī rañg fazāoñ meñ bikhar jā.eñge
phuul nāzuk haiñ chaTānoñ meñ dabātā kyoñ hai
wo mera kaun hai aaina dikhata kyon hai
hadisa ban ke mere samne aata kyon hai
main ne kab ghar ki udasi ki shikayat ki hai
koi aaseb sar-e-sham Daraata kyon hai
wo meri rah ka patthar to nahin hai lekin
mujh ko har bar ye ehsas dilata kyon hai
phir kai rang fazaon mein bikhar jaenge
phul nazuk hain chaTanon mein dabaata kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.