wo mera maujon se laD laD kar ubhar kar dekhna
wo mera maujon se laD laD kar ubhar kar dekhna
Parveen Sultana Saba
MORE BYParveen Sultana Saba
vo mirā maujoñ se laḌ laḌ kar ubhar kar dekhnā
dostoñ kā duur sāhil se samundar dekhnā
ham ka.ī sadiyāñ tumhāre naam par likh jā.eñge
tum bhī ik lamha hamāre naam likh kar dekhnā
ho sadaf kī chaah to tah meñ utarnā shart hai
kyā kināroñ par khaḌe yuuñ ret patthar dekhnā
mar-miTe ho jis ke tum chashm-o-lab-o-ruḳhsār par
us but-e-kāfir ke bātin kā bhī manzar dekhnā
kaisā tūfān-e-havādis kyā talātum kyā bhañvar
dekh lo un sab ko tum phir mere tevar dekhnā
sar nigūñ sāhil se Takrā kar palaTtī mauj ke
valvale chāho to phir tūfāñ meñ rah kar dekhnā
gardish-e-sayyārgāñ qismat batātī hai agar
kaam phir kis kā hai tāroñ kā muqaddar dekhnā
hai 'sabā' har raat kī taqdīr meñ nūr-e-sahar
raushnī dekhegā apnā bhī muqaddar dekhnā
wo mera maujon se laD laD kar ubhar kar dekhna
doston ka dur sahil se samundar dekhna
hum kai sadiyan tumhaare nam par likh jaenge
tum bhi ek lamha hamare nam likh kar dekhna
ho sadaf ki chah to tah mein utarna shart hai
kya kinaron par khaDe yun ret patthar dekhna
mar-miTe ho jis ke tum chashm-o-lab-o-ruKHsar par
us but-e-kafir ke baatin ka bhi manzar dekhna
kaisa tufan-e-hawadis kya talatum kya bhanwar
dekh lo un sab ko tum phir mere tewar dekhna
sar nigun sahil se Takra kar palaTti mauj ke
walwale chaho to phir tufan mein rah kar dekhna
gardish-e-sayyargan qismat batati hai agar
kaam phir kis ka hai taron ka muqaddar dekhna
hai 'saba' har raat ki taqdir mein nur-e-sahar
raushni dekhega apna bhi muqaddar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.