wo mere ashkon ki daulat kya hui
vo mire ashkoñ kī daulat kyā huī
rāt-din rone kī fursat kyā huī
be-talab chalne kā mausam kyā huā
be-sabab hañsne kī aadat kyā huī
koī bhī mujh ko nazar aatā nahīñ
ai ḳhudā merī basārat kyā huī
ab udhar se tiir kyoñ aate nahīñ
dushmanoñ kī vo ināyat kyā huī
kyoñ ġhanīm-e-shab ke aage jhuk ga.e
sub.h-zādoñ kī shujā.at kyā huī
wo mere ashkon ki daulat kya hui
raat-din rone ki fursat kya hui
be-talab chalne ka mausam kya hua
be-sabab hansne ki aadat kya hui
koi bhi mujh ko nazar aata nahin
ai KHuda meri basarat kya hui
ab udhar se tir kyon aate nahin
dushmanon ki wo inayat kya hui
kyon ghanim-e-shab ke aage jhuk gae
subh-zadon ki shujaat kya hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.