wo mere gham ka mudawa nahin hone deta
vo mire ġham kā mudāvā nahīñ hone detā
zarra-e-dard ko sahrā nahīñ hone detā
saath rakhtā huuñ hamesha tirī yādoñ kī dhanak
maiñ kabhī ḳhud ko akelā nahīñ hone detā
zaḳhm bhartā hai nayā zaḳhm lagāne ke liye
kyā masīhā hai ki achchhā nahīñ hone detā
jis ke anjām se TuuTe mirā pindār-e-anā
maiñ vo āġhāz dobāra nahīñ hone detā
rok detā huuñ umaDte hue tūfāñ 'nāsir'
qatra-e-ashk ko dariyā nahīñ hone detā
wo mere gham ka mudawa nahin hone deta
zarra-e-dard ko sahra nahin hone deta
sath rakhta hun hamesha teri yaadon ki dhanak
main kabhi KHud ko akela nahin hone deta
zaKHm bharta hai naya zaKHm lagane ke liye
kya masiha hai ki achchha nahin hone deta
jis ke anjam se TuTe mera pindar-e-ana
main wo aaghaz dobara nahin hone deta
rok deta hun umaDte hue tufan 'nasir'
qatra-e-ashk ko dariya nahin hone deta
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 284)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.