wo meri rah dekhti hogi
vo mirī raah dekhtī hogī
phir use niiñd aa ga.ī hogī
tum se to ishq bhī nahīñ hotā
tum se kyā ḳhaak shā.irī hogī
bolne meñ jo hichkichātī hai
vo yaqīnan paḌhī likhī hogī
varna kamre meñ shor kyoñ hotā
us kī tasvīr boltī hogī
dosto maiñ chalā ḳhudā-hāfiz
mujh ko tanhā.ī DhūñDhtī hogī
varna dariyā ne bahte rahnā thā
us ne gāgar nahīñ bharī hogī
maiñ udāsī kā giit huuñ 'tābish'
vo mujhe gungunā rahī hogī
wo meri rah dekhti hogi
phir use nind aa gai hogi
tum se to ishq bhi nahin hota
tum se kya KHak shairi hogi
bolne mein jo hichkichati hai
wo yaqinan paDhi likhi hogi
warna kamre mein shor kyon hota
us ki taswir bolti hogi
dosto main chala KHuda-hafiz
mujh ko tanhai DhunDhti hogi
warna dariya ne bahte rahna tha
us ne gagar nahin bhari hogi
main udasi ka git hun 'tabish'
wo mujhe gunguna rahi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.