wo meri raaten meri aankhon mein aa kar le gai
vo mirī rāteñ mirī āñkhoñ meñ aa kar le ga.ī
yaad terī chor thī nīñdeñ churā kar le ga.ī
zindagī kī Diary meñ ek hī to giit thā
koī mīThī dhun use bhī gungunā kar le ga.ī
sardiyoñ kī gungunī sī dhuup ke ehsās tak
mere man kī chāñdnī mujh ko bulā kar le ga.ī
ek ḳhushbū sā maiñ apnī pankhuḌī meñ band thā
aa.ī ik pāgal havā mujh ko uḌā kar le ga.ī
raah meñ thak kar jahāñ baiThī agar ye zindagī
maut aa.ī baañh thāmī aur uThā kar le ga.ī
varna tū bhī raah meñ girtā chalā jaatā 'kuñvar'
vo to ik Thokar thī jo tujh ko bachā kar le ga.ī
wo meri raaten meri aankhon mein aa kar le gai
yaad teri chor thi ninden chura kar le gai
zindagi ki Diary mein ek hi to git tha
koi miThi dhun use bhi gunguna kar le gai
sardiyon ki gunguni si dhup ke ehsas tak
mere man ki chandni mujh ko bula kar le gai
ek KHushbu sa main apni pankhuDi mein band tha
aai ek pagal hawa mujh ko uDa kar le gai
rah mein thak kar jahan baiThi agar ye zindagi
maut aai banh thami aur uTha kar le gai
warna tu bhi rah mein girta chala jata 'kunwar'
wo to ek Thokar thi jo tujh ko bacha kar le gai
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 25)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.