wo meri ruh ko zaKHmon ke hawale kar ke
wo meri ruh ko zaKHmon ke hawale kar ke
Shahabuddin Shah Qannauji
MORE BYShahabuddin Shah Qannauji
vo mirī ruuh ko zaḳhmoñ ke havāle kar ke
jā rahe haiñ mire ehsās meñ chhāle kar ke
kal the mahbūb magar saath the kyā ye kam thā
ham ne dil kho diyā tanhā.ī meñ naale kar ke
terī yādoñ ne pareshān kiyā thā itnā
terī tasvīr ko dekhā hai ujāle kar ke
merī taqdīr meñ ban-vās likhā thā lekin
aayā pardes use maañ ke havāle kar ke
ek insān kī aamad kā yahī mo.ajiza hai
de gayā ham ko vo sadiyoñ ke ujāle kar ke
suune suune se haiñ manzar ka.ī sadiyoñ se yahāñ
zindagī kaise jiyūñ jaan ke laale kar ke
ghar kī dīvāroñ meñ ham qaid raheñge kab tak
jā-ba-jā makḌī ke har samt yuuñ jaale kar ke
diip ummīd kā raushan hai mire dil meñ abhī
lauT aaoge kabhī aap ujāle kar ke
wo meri ruh ko zaKHmon ke hawale kar ke
ja rahe hain mere ehsas mein chhaale kar ke
kal the mahbub magar sath the kya ye kam tha
hum ne dil kho diya tanhai mein nale kar ke
teri yaadon ne pareshan kiya tha itna
teri taswir ko dekha hai ujale kar ke
meri taqdir mein ban-was likha tha lekin
aaya pardes use man ke hawale kar ke
ek insan ki aamad ka yahi moajiza hai
de gaya hum ko wo sadiyon ke ujale kar ke
sune sune se hain manzar kai sadiyon se yahan
zindagi kaise jiyun jaan ke lale kar ke
ghar ki diwaron mein hum qaid rahenge kab tak
ja-ba-ja makDi ke har samt yun jale kar ke
dip ummid ka raushan hai mere dil mein abhi
lauT aaoge kabhi aap ujale kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.