wo mujhko bhul bhi jae to hairani nahin hogi
vo mujh ko bhuul bhī jaa.e to hairānī nahīñ hogī
mujhe hai raas tanhā.ī pareshānī nahīñ hogī
maiñ jo kuchh sochtī huuñ vo kabhī kah hī nahīñ paa.ī
so mujh ko baat kar ke bhī pashemānī nahīñ hogī
kisī ko yaad karne meñ jo āsānī huī mujh ko
bhulāne baiTh jā.ūñ to vo āsānī nahīñ hogī
ḳhafā ho kar gayā hai jis tarah se abr lagtā hai
yahāñ par ab koī bhī fasl bārānī nahīñ hogī
mujhe mālūm hai bas aarzī ehsān hai terā
magar kuchh din to mere dil meñ vīrānī nahīñ hogī
wo mujh ko bhul bhi jae to hairani nahin hogi
mujhe hai ras tanhai pareshani nahin hogi
main jo kuchh sochti hun wo kabhi kah hi nahin pai
so mujh ko baat kar ke bhi pashemani nahin hogi
kisi ko yaad karne mein jo aasani hui mujh ko
bhulane baiTh jaun to wo aasani nahin hogi
KHafa ho kar gaya hai jis tarah se abr lagta hai
yahan par ab koi bhi fasl barani nahin hogi
mujhe malum hai bas aarzi ehsan hai tera
magar kuchh din to mere dil mein virani nahin hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.