wo mujhko dekh na pae main mustaqil dekhun
vo mujh ko dekh na paa.e maiñ mustaqil dekhūñ
sitāra jaise koī duur jagmagā.e kabhī
banūñ maiñ lahr kabhī aur vo merā sāhil ho
maiñ us ko DhūñDne jā.ūñ vo mujh ko paa.e kabhī
ġhubār-e-rāh kī vahshat havā pe likkhī thī
magar ye log vo tahrīr paḌh na paa.e kabhī
tumhāre shahr se izzat junūñ kī jaatī hai
gharoñ pe shīshe lagāo ki sang aa.e kabhī
yahī duā hai mirī bas ki mere rabb-e-azīm
gayā hai ab jo musāfir to lauT aa.e kabhī
wo mujh ko dekh na pae main mustaqil dekhun
sitara jaise koi dur jagmagae kabhi
banun main lahr kabhi aur wo mera sahil ho
main us ko DhunDne jaun wo mujh ko pae kabhi
ghubar-e-rah ki wahshat hawa pe likkhi thi
magar ye log wo tahrir paDh na pae kabhi
tumhaare shahr se izzat junun ki jati hai
gharon pe shishe lagao ki sang aae kabhi
yahi dua hai meri bas ki mere rabb-e-azim
gaya hai ab jo musafir to lauT aae kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.