wo mujhko main kisi ko manane nikal gaya
vo mujh ko maiñ kisī ko manāne nikal gayā
ik vaqt thā jo vaqt se pahle nikal gayā
māh-o-nujūm kam hue asbāb meñ mire
phir Dar kā āsmān bhī dil se nikal gayā
nāzuk bahut thā us kī galī kā mu'āmla
apnī udāsiyoñ ko sañbhāle nikal gayā
ik baar dil meñ jaagī na.ī aag kī havas
ik rāsta nadī ke kināre nikal gayā
kal mujh ko chhū gayā koī jhoñkā bahār kā
vo bhī zamāna aañkh jhapakte nikal gayā
taufīq-e-she'r mujh ko 'atā bhī huī to kab
jab 'āriz-e-‘arūz se aage nikal gayā
wo mujh ko main kisi ko manane nikal gaya
ek waqt tha jo waqt se pahle nikal gaya
mah-o-nujum kam hue asbab mein mere
phir Dar ka aasman bhi dil se nikal gaya
nazuk bahut tha us ki gali ka mu'amla
apni udasiyon ko sanbhaale nikal gaya
ek bar dil mein jagi nai aag ki hawas
ek rasta nadi ke kinare nikal gaya
kal mujh ko chhu gaya koi jhonka bahaar ka
wo bhi zamana aankh jhapakte nikal gaya
taufiq-e-she'r mujh ko 'ata bhi hui to kab
jab 'ariz-e-‘aruz se aage nikal gaya
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 128)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.