wo mujhse be-KHabar hain unki aadat hi kuchh aisi hai
vo mujh se be-ḳhabar haiñ un kī aadat hī kuchh aisī hai
maiñ un ko yaad kartā huuñ mohabbat hī kuchh aisī hai
maiñ aa.uuñ va.az meñ sau baar jab ye dil bhī aane de
karūñ kyā vā.izo rindoñ kī sohbat hī kuchh aisī hai
maiñ kis gintī meñ huuñ aur ik mire dil kī haqīqat kyā
hazāroñ jaan dete haiñ vo sūrat hī kuchh aisī hai
koī aa.e ye aatī hai koī jaa.e ye jaatā hai
mirā dil hī kuchh aisā hai tabī.at hī kuchh aisī hai
hamārā kyā bigaḌ jaatā 'hasan' terī sifārish meñ
hamārī un kī ab sāhib-salāmat hī kuchh aisī hai
wo mujh se be-KHabar hain un ki aadat hi kuchh aisi hai
main un ko yaad karta hun mohabbat hi kuchh aisi hai
main aaun waz mein sau bar jab ye dil bhi aane de
karun kya waizo rindon ki sohbat hi kuchh aisi hai
main kis ginti mein hun aur ek mere dil ki haqiqat kya
hazaron jaan dete hain wo surat hi kuchh aisi hai
koi aae ye aati hai koi jae ye jata hai
mera dil hi kuchh aisa hai tabiat hi kuchh aisi hai
hamara kya bigaD jata 'hasan' teri sifarish mein
hamari un ki ab sahib-salamat hi kuchh aisi hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 134)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.