wo mujhse hue ham-kalam allah allah
wo mujhse hue ham-kalam allah allah
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
MORE BYSufi Ghulam Mustafa Tabassum
vo mujh se hue ham-kalām allāh allāh
kahāñ maiñ kahāñ ye maqām allāh allāh
ye rū-e-daraḳhshāñ ye zulfoñ ke saa.e
ye hañgāma-e-sub.h-o-shām allāh allāh
ye jalvoñ kī tābāniyoñ kā tasalsul
ye zauq-e-nazar kā davām allāh allāh
vo sahmā huā āñsuoñ kā talātum
vo āb-e-ravāñ be-ḳhirām allāh allāh
shab-e-vasl kī sā.ateñ muḳhtasar sī
tamannāoñ kā izhdihām allāh allāh
vo zabt-e-suḳhan meñ laboñ kī ḳhamoshī
nazar kā vo lutf-e-kalām allāh allāh
wo mujh se hue ham-kalam allah allah
kahan main kahan ye maqam allah allah
ye ru-e-daraKHshan ye zulfon ke sae
ye hangama-e-subh-o-sham allah allah
ye jalwon ki tabaniyon ka tasalsul
ye zauq-e-nazar ka dawam allah allah
wo sahma hua aansuon ka talatum
wo aab-e-rawan be-KHiram allah allah
shab-e-wasl ki saaten muKHtasar si
tamannaon ka izhdiham allah allah
wo zabt-e-suKHan mein labon ki KHamoshi
nazar ka wo lutf-e-kalam allah allah
- Book : sau-e-baar-e-chaman mahka (Pg. 151)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.