wo mujhse is qadar sahma hua hai
vo mujh se is qadar sahmā huā hai
ḳhudā jaane use ye kyā huā hai
maiñ tere rū-barū huuñ yaar phir bhī
tirā chehra bahut utrā huā hai
muqaddar hai ki phir merī ḳhatā.eñ
ġhamoñ ne jo mujhe gherā huā hai
manāne kī use koshish hai jaarī
jo mujh se āj-kal rūThā huā hai
tasavvur meñ basā hai koī shāyad
tabhī chehra tirā nikhrā huā hai
koī to baat hai aisī yaqīnan
vo insāñ āj-kal badlā huā hai
vo merī zindagī thī zindagī hai
tabhī to shahr meñ charchā huā hai
nahīñ suntā kisī kī bhī sadā vo
ye hākim qaum kā bahrā huā hai
salīqe se ġhazal likhnī thī 'ahmad'
magar hālāt ne jakḌā huā hai
wo mujh se is qadar sahma hua hai
KHuda jaane use ye kya hua hai
main tere ru-baru hun yar phir bhi
tera chehra bahut utra hua hai
muqaddar hai ki phir meri KHataen
ghamon ne jo mujhe ghera hua hai
manane ki use koshish hai jari
jo mujh se aaj-kal ruTha hua hai
tasawwur mein basa hai koi shayad
tabhi chehra tera nikhra hua hai
koi to baat hai aisi yaqinan
wo insan aaj-kal badla hua hai
wo meri zindagi thi zindagi hai
tabhi to shahr mein charcha hua hai
nahin sunta kisi ki bhi sada wo
ye hakim qaum ka bahra hua hai
saliqe se ghazal likhni thi 'ahmad'
magar haalat ne jakDa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.