wo mujhse puchh raha hai sunao kaisa laga
vo mujh se pūchh rahā hai sunāo kaisā lagā
tum agle zaḳhmoñ ko chhoḌo ye ghaav kaisā lagā
ajab savāl kiyā āñdhiyoñ ne pattoñ se
shajar se TuuT ke girnā batāo kaisā lagā
vo ḳhud bhī ḳhush hai zamāne ko mutma.in kar ke
mohabbatoñ meñ use rakh-rakhāv kaisā lagā
bujhā chuke the zamāne ke garm sard jise
badan kī raakh meñ phir se alaav kaisā lagā
hamārā zikr kiyā thā to ḳhud hī kah Daalo
gulābī chehre pe phailā tanāv kaisā lagā
nikal ke aa to ga.e maslahat kī chhāñv se
anā ke dasht meñ pahlā paḌāv kaisā lagā
kisī se kuchh bhī nahīñ muft meñ ḳharīdte ham
huzūr aap ko yūsuf kā bhaav kaisā lagā
wo mujh se puchh raha hai sunao kaisa laga
tum agle zaKHmon ko chhoDo ye ghaw kaisa laga
ajab sawal kiya aandhiyon ne patton se
shajar se TuT ke girna batao kaisa laga
wo KHud bhi KHush hai zamane ko mutmain kar ke
mohabbaton mein use rakh-rakhaw kaisa laga
bujha chuke the zamane ke garm sard jise
badan ki rakh mein phir se alaw kaisa laga
hamara zikr kiya tha to KHud hi kah Dalo
gulabi chehre pe phaila tanaw kaisa laga
nikal ke aa to gae maslahat ki chhanw se
ana ke dasht mein pahla paDaw kaisa laga
kisi se kuchh bhi nahin muft mein KHaridte hum
huzur aap ko yusuf ka bhaw kaisa laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.