wo mujhe dil mein yaad karta hai
vo mujhe dil meñ yaad kartā hai
rang chehre kā bol uThtā hai
bujhne lagtīñ haiñ jab mirī āñkheñ
āḳhir-e-shab charāġh jaltā hai
niiñd meñ aa rahī haiñ āvāzeñ
vāhima duur jā nikaltā hai
jab chamaktī hai fikr āñkhoñ meñ
tab kahīñ rāsta nikaltā hai
'roz' ik ḳhvāhishoñ kā jolāhā
ḳhvāb buntā hai ḳhvāb buntā hai
wo mujhe dil mein yaad karta hai
rang chehre ka bol uThta hai
bujhne lagtin hain jab meri aankhen
aaKHir-e-shab charagh jalta hai
nind mein aa rahi hain aawazen
wahima dur ja nikalta hai
jab chamakti hai fikr aankhon mein
tab kahin rasta nikalta hai
'roz' ek KHwahishon ka jolaha
KHwab bunta hai KHwab bunta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.