wo mujhe yaad kar raha hoga
vo mujhe yaad kar rahā hogā
aur ḳhud se ulajh paḌā hogā
sochtā huuñ vo kis kī bāñhoñ meñ
baa'd mere machal rahā hogā
kuchh na hogā ye vahm hai terā
vo chale jā.eñge to kyā hogā
dil kisī aur samt laane ko
ik nayā shaġhl DhūñDhnā hogā
'ishrat-e-nīñd tark kar ke ab
apne ḳhvāboñ ko bechnā hogā
muḳhtasar ye ki 'aish-e-dil ke liye
apne maazī ko bhūlnā hogā
hashr meñ ham kidhar ko jā.eñge
jab idhar vo udhar ḳhudā hogā
haa.e ḳhush-fahmiyāñ tirī 'haidar'
vo tujhe yaad kar rahā hogā
wo mujhe yaad kar raha hoga
aur KHud se ulajh paDa hoga
sochta hun wo kis ki banhon mein
ba'd mere machal raha hoga
kuchh na hoga ye wahm hai tera
wo chale jaenge to kya hoga
dil kisi aur samt lane ko
ek naya shaghl DhunDhna hoga
'ishrat-e-nind tark kar ke ab
apne KHwabon ko bechna hoga
muKHtasar ye ki 'aish-e-dil ke liye
apne mazi ko bhulna hoga
hashr mein hum kidhar ko jaenge
jab idhar wo udhar KHuda hoga
hae KHush-fahmiyan teri 'haidar'
wo tujhe yaad kar raha hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.