wo musht-e-KHak jo parwana-e-dil-gir banti hai
Interesting Fact
July, 1942
vo musht-e-ḳhāk jo parvāna-e-dil-gīr bantī hai
jigar kī aag bujh jaatī hai jab iksīr bantī hai
hayāt-e-jāvedānī haath aatī hai fanā ho kar
mirī ḳhākistar-e-dil rashk-e-sad-iksīr bantī hai
na jiinā raas aatā hai na marnā raas aatā hai
na ye tadbīr bantī hai na vo tadbīr bantī hai
kuchh apnī ḳhāna-barbādī se andesha nahīñ mujh ko
mirī do Thokaroñ se ik na.ī ta.amīr bantī hai
kuchh us kā fitrat-e-āzād par qaabū nahīñ chaltā
ye duniyā to har ik ke paañv kī zanjīr bantī hai
banāne se kabhī insān kī qismat nahīñ bantī
magar banñe pe aatī hai to be-tadbīr bantī hai
kabhī muḳhtār kar denā kabhī majbūr kar denā
mujhe ma.alūm hai jaise mirī taqdīr bantī hai
kisī se mere dil kā mudda.ā zāhir nahīñ hotā
mirī bechārgī apnī hī ḳhud tafsīr bantī hai
mujhe sharminda-e-ilzām hone kī zarūrat kyā
vasīla maġhfirat kā jab mirī taqsīr bantī hai
kamāle-rā-zavāle dāḳhil-e-ā.īn-e-qudrat hai
jo ban kar phir na bigḌe vo kahāñ taqdīr bantī hai
masarrat yaad aa jaatī hai jab ahd-e-guzishta kī
dil-e-māyūs ke haq meñ sinān-o-tīr bantī hai
jise duniyā meñ dekhā ham ne tujh ko koste dekhā
kisī se bhī tirī ai āsmān-e-pīr bantī hai
na jaane kātib-e-qismat pe kyoñ ilzām rakhte haiñ
ḳhud apne haath se insān kī taqdīr bantī hai
bashar miTTī kā putlā hī sahī zer-e-falak 'tālib'
mohabbat se magar ye ḳhaak bhī iksīr bantī hai
wo musht-e-KHak jo parwana-e-dil-gir banti hai
jigar ki aag bujh jati hai jab iksir banti hai
hayat-e-jawedani hath aati hai fana ho kar
meri KHakistar-e-dil rashk-e-sad-iksir banti hai
na jina ras aata hai na marna ras aata hai
na ye tadbir banti hai na wo tadbir banti hai
kuchh apni KHana-barbaadi se andesha nahin mujh ko
meri do Thokaron se ek nai tamir banti hai
kuchh us ka fitrat-e-azad par qabu nahin chalta
ye duniya to har ek ke panw ki zanjir banti hai
banane se kabhi insan ki qismat nahin banti
magar banne pe aati hai to be-tadbir banti hai
kabhi muKHtar kar dena kabhi majbur kar dena
mujhe malum hai jaise meri taqdir banti hai
kisi se mere dil ka muddaa zahir nahin hota
meri bechaargi apni hi KHud tafsir banti hai
mujhe sharminda-e-ilzam hone ki zarurat kya
wasila maghfirat ka jab meri taqsir banti hai
kamale-ra-zawale daKHil-e-ain-e-qudrat hai
jo ban kar phir na bigDe wo kahan taqdir banti hai
masarrat yaad aa jati hai jab ahd-e-guzishta ki
dil-e-mayus ke haq mein sinan-o-tir banti hai
jise duniya mein dekha hum ne tujh ko koste dekha
kisi se bhi teri ai aasman-e-pir banti hai
na jaane katib-e-qismat pe kyon ilzam rakhte hain
KHud apne hath se insan ki taqdir banti hai
bashar miTTi ka putla hi sahi zer-e-falak 'talib'
mohabbat se magar ye KHak bhi iksir banti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.