wo na aaya kabhi idhar afsos
vo na aaya kabhī idhar afsos
ġhair kā ho gayā magar afsos
un ko hotī nahīñ ḳhabar afsos
aah kartī nahīñ asar afsos
jab se vo mai nahīñ hai pahlū meñ
ġham-kada ho gayā hai ghar afsos
apne koThe pe vo nahīñ aa.e
aaj niklā nahīñ qamar afsos
yūñhī rotā 'haqīr' vo jaate
mujh pe aatā unheñ agar afsos
wo na aaya kabhi idhar afsos
ghair ka ho gaya magar afsos
un ko hoti nahin KHabar afsos
aah karti nahin asar afsos
jab se wo mai nahin hai pahlu mein
gham-kada ho gaya hai ghar afsos
apne koThe pe wo nahin aae
aaj nikla nahin qamar afsos
yunhi rota 'haqir' wo jate
mujh pe aata unhen agar afsos
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.