wo na aur main hi jawan tha pahle
vo na aur maiñ hī javāñ thā pahle
kis qadar amn-o-amāñ thā pahle
vaqt gar sail-e-ravāñ thā pahle
maiñ bhī ik sang-e-girāñ thā pahle
joḌne par bhī nazar aatā hai
baal shīshe meñ jahāñ thā pahle
qurbat-e-yār kā ġham hai na ḳhushī
dil kā ye haal kahāñ thā pahle
ashk-e-larzāñ kī kahī kaun sune
hāsil-e-sharh-e-bayāñ thā pahle
log ab is ko ḳhalal kahte haiñ
ishq ik rāz-e-nihāñ thā pahle
bāzī-e-hāl bisāt-e-māzī
boliye kaun kahāñ thā pahle
mai-kada pahuñche jo us se chhup kar
nāseh maujūd vahāñ thā pahle
thā vo ik lafz-e-mohabbat 'shāhid'
lab pe jo raqs-kunāñ thā pahle
wo na aur main hi jawan tha pahle
kis qadar amn-o-aman tha pahle
waqt gar sail-e-rawan tha pahle
main bhi ek sang-e-giran tha pahle
joDne par bhi nazar aata hai
baal shishe mein jahan tha pahle
qurbat-e-yar ka gham hai na KHushi
dil ka ye haal kahan tha pahle
ashk-e-larzan ki kahi kaun sune
hasil-e-sharh-e-bayan tha pahle
log ab is ko KHalal kahte hain
ishq ek raaz-e-nihan tha pahle
bazi-e-haal bisat-e-mazi
boliye kaun kahan tha pahle
mai-kada pahunche jo us se chhup kar
naseh maujud wahan tha pahle
tha wo ek lafz-e-mohabbat 'shahid'
lab pe jo raqs-kunan tha pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.