wo naghmagi ka zaiqa uski sada mein tha
vo naġhmagī kā zā.iqa us kī sadā meñ thā
phailā huā vo nuur sā saarī fazā meñ thā
chup chaap be-zabāñ koī merī anā meñ thā
varna kahāñ ye hausla merī binā meñ thā
vo mere saañs kī dhanak meñ jhūltā thā kaun
kis kā thā rañg-rūp jo husn-e-ḳhalā meñ thā
jo chhū rahā thā mere badan hī ko baar baar
tere ḳhulūs kā koī jhoñkā havā meñ thā
jaañ se guzar ke bhī kabhī shāyad na ye khule
jaadū ye kis nigāh kā merī nigah meñ thā
kal raat bah rahā thā jo bārish ke naam se
merā hī ek ashk-e-tar saarī ghaTā meñ thā
wo naghmagi ka zaiqa us ki sada mein tha
phaila hua wo nur sa sari faza mein tha
chup chap be-zaban koi meri ana mein tha
warna kahan ye hausla meri bina mein tha
wo mere sans ki dhanak mein jhulta tha kaun
kis ka tha rang-rup jo husn-e-KHala mein tha
jo chhu raha tha mere badan hi ko bar bar
tere KHulus ka koi jhonka hawa mein tha
jaan se guzar ke bhi kabhi shayad na ye khule
jadu ye kis nigah ka meri nigah mein tha
kal raat bah raha tha jo barish ke nam se
mera hi ek ashk-e-tar sari ghaTa mein tha
- Book : Shora-e-London (Pg. 98)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street,Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.