wo naghmagin sa suKHan yaad aa gaya tera
wo naghmagin sa suKHan yaad aa gaya tera
Kanwal Pradeep Mahajan
MORE BYKanwal Pradeep Mahajan
vo naġhmagīñ sā suḳhan yaad aa gayā terā
nazar meñ ‘aks-e-hasīñ jhilmilā gayā terā
tire firāq meñ dil kā 'ajīb 'ālam hai
havā kā shor bhī qissa sunā gayā terā
mirā raqīb ho jaise tirā vafūr-e-hayā
hijāb ban ke jo chehrā chhupā gayā terā
maiñ lafz lafz tujhe paḌh nahīñ sakā lekin
kitāb-e-zindagī mafhūm pā gayā terā
'kañval' kañval se khile jhiil jaisī āñkhoñ meñ
ki naqsh naqsh tasavvur meñ aa gayā terā
wo naghmagin sa suKHan yaad aa gaya tera
nazar mein ‘aks-e-hasin jhilmila gaya tera
tere firaq mein dil ka 'ajib 'alam hai
hawa ka shor bhi qissa suna gaya tera
mera raqib ho jaise tera wafur-e-haya
hijab ban ke jo chehra chhupa gaya tera
main lafz lafz tujhe paDh nahin saka lekin
kitab-e-zindagi mafhum pa gaya tera
'kanwal' kanwal se khile jhil jaisi aankhon mein
ki naqsh naqsh tasawwur mein aa gaya tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.