wo nahin bich to ye umr-e-rawan kahti hai
vo nahīñ biich to ye umr-e-ravāñ kahtī hai
kyā chalūñ jab koī mehvar se alaihada kar de
ab jo TuuTā huuñ to us aañkh kā jaadū samjhā
vo to chiñgārī bhī patthar se alaihada kar de
kyā kahūñ us se bichhaḌne kī aziyyat kyā hai
jaise gardan hī koī sar se alaihada kar de
ek muddat se ġham-e-dahr hai ashkoñ meñ ghulā
aa ke ye ret samundar se alaihada kar de
ek mazlūm-e-zamāna huuñ maiñ bad-baḳht nahīñ
ġham-e-duniyā ko muqaddar se alaihada kar de
tang sahrā hai jo andar ye talab hai us kī
dar-o-dīvār ko ab ghar se alaihada kar de
use dekhūñ ki maiñ rangoñ kā vo manzar dekhūñ
nigah-e-shauq use manzar se alaihada kar de
wo nahin bich to ye umr-e-rawan kahti hai
kya chalun jab koi mehwar se alaihada kar de
ab jo TuTa hun to us aankh ka jadu samjha
wo to chingari bhi patthar se alaihada kar de
kya kahun us se bichhaDne ki aziyyat kya hai
jaise gardan hi koi sar se alaihada kar de
ek muddat se gham-e-dahr hai ashkon mein ghula
aa ke ye ret samundar se alaihada kar de
ek mazlum-e-zamana hun main bad-baKHt nahin
gham-e-duniya ko muqaddar se alaihada kar de
tang sahra hai jo andar ye talab hai us ki
dar-o-diwar ko ab ghar se alaihada kar de
use dekhun ki main rangon ka wo manzar dekhun
nigah-e-shauq use manzar se alaihada kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.