wo nahin hum jo Dar hi jawenge
vo nahīñ ham jo Dar hī jāveñge
dil meñ jo hai so kar hī jāveñge
tujh se jis dam judā hue mirī jaan
phir ye suniyo ki mar hī jāveñge
diid phir phir jahān kī kar leñ
āḳhirash to guzar hī jāveñge
jī to lagtā nahīñ jahāñ dil hai
ham bhī ab to udhar hī jāveñge
be-ḳhabar jis tarah se aa.e haiñ
is tarah be-ḳhabar hī jāveñge
tujh ko ġhairoñ se kaam hai to rah
ham bhī ab apne ghar hī jāveñge
dil ko likh paḌh ke dījiyo tū 'hasan'
varna dilbar mukar hī jāveñge
wo nahin hum jo Dar hi jawenge
dil mein jo hai so kar hi jawenge
tujh se jis dam juda hue meri jaan
phir ye suniyo ki mar hi jawenge
did phir phir jahan ki kar len
aaKHirash to guzar hi jawenge
ji to lagta nahin jahan dil hai
hum bhi ab to udhar hi jawenge
be-KHabar jis tarah se aae hain
is tarah be-KHabar hi jawenge
tujh ko ghairon se kaam hai to rah
hum bhi ab apne ghar hi jawenge
dil ko likh paDh ke dijiyo tu 'hasan'
warna dilbar mukar hi jawenge
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.