wo nahin milta mujhe is ka gila apni jagah
wo nahin milta mujhe is ka gila apni jagah
Iftikhar Imam Siddiqi
MORE BYIftikhar Imam Siddiqi
vo nahīñ miltā mujhe is kā gilā apnī jagah
us ke mere darmiyāñ kā fāsla apnī jagah
zindagī ke is safar meñ saikḌoñ chehre mile
dilkashī un kī alag paikar tirā apnī jagah
tujh se mil kar aane vaale kal se nafrat mol lī
ab kabhī tujh se na bichhḌūñ ye duā apnī jagah
ik musalsal dauḌ meñ haiñ manzileñ aur fāsle
peḌ to apnī jagah haiñ rāsta apnī jagah
wo nahin milta mujhe is ka gila apni jagah
us ke mere darmiyan ka fasla apni jagah
zindagi ke is safar mein saikDon chehre mile
dilkashi un ki alag paikar tera apni jagah
tujh se mil kar aane wale kal se nafrat mol li
ab kabhi tujh se na bichhDun ye dua apni jagah
ek musalsal dauD mein hain manzilen aur fasle
peD to apni jagah hain rasta apni jagah
- Book : Jagjit Chitra Ki Ghazlen (Pg. 90)
- Author : Jagjit Chitra
- Publication : Daimond Pocket Books, Daryaganj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.