wo nahin yaro kisi bhi baat mein
vo nahīñ yaaro kisī bhī baat meñ
jiit kar bhī jo maza hai maat meñ
har kisī ke gird logoñ kā hujūm
har koī tanhā hai apnī zaat meñ
dekhne vaale inheñ paḌh ġhaur se
ek ik duniyā hai in zarrāt meñ
khā ga.ī ab tak ye kitne āftāb
raaz hai muzmar ajab is raat meñ
be-gunāhoñ ke lahū kī surḳhiyāñ
jā bajā bikhrī haiñ aḳhbārāt meñ
aao kāTeñ cake ko imsāl bhī
āñsuoñ kī is bharī barsāt meñ
bach ke rahnā ham se ai dasht-e-junūñ
us kā saayā hai hamāre saat meñ
ai safīrān-e-ziyā ab tum kaho
ab ke sūraj hai hamāre haat meñ
baab meñ us ke hai 'tāhir' aaj bhī
ek sannāTā sā kā.enāt meñ
wo nahin yaro kisi bhi baat mein
jit kar bhi jo maza hai mat mein
har kisi ke gird logon ka hujum
har koi tanha hai apni zat mein
dekhne wale inhen paDh ghaur se
ek ek duniya hai in zarraat mein
kha gai ab tak ye kitne aaftab
raaz hai muzmar ajab is raat mein
be-gunahon ke lahu ki surKHiyan
ja baja bikhri hain aKHbaraat mein
aao kaTen cake ko imsal bhi
aansuon ki is bhari barsat mein
bach ke rahna hum se ai dasht-e-junun
us ka saya hai hamare sat mein
ai safiran-e-ziya ab tum kaho
ab ke suraj hai hamare hat mein
bab mein us ke hai 'tahir' aaj bhi
ek sannaTa sa kaenat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.