wo naqd-e-jaan aur wo bazar kya hue
vo naqd-e-jān aur vo bāzār kyā hue
ai shahr-e-mīr tere ḳharīdār kyā hue
yārān-e-kaj-kulāhī kī sohbat kahāñ ga.ī
bālā-e-bām abrū-e-ḳhamdār kyā hue
vo naġhma-ḳhvān-e-bād-e-bahārī kidhar ga.e
āshuftagān-e-nargis-e-bīmār kyā hue
vo hunar-e-inqalāb kā mausam kahāñ gayā
vo āsmāñ pe abr-e-guhar-bār kyā hue
vo ilm-o-āgahī ke muhāfiz kidhar ga.e
zulmat-kade meñ nuur ke mīnār kyā hue
āsāñ thā jin ke dam se kaḌī dhuup kā safar
vo shāh-rāh-e-zīst ke ashjār kyā hue
jo the hamāre shahr kī pahchān ai 'niyāz'
vo sāhibān-e-jubba-o-dastār kyā hue
wo naqd-e-jaan aur wo bazar kya hue
ai shahr-e-mir tere KHaridar kya hue
yaran-e-kaj-kulahi ki sohbat kahan gai
baala-e-baam abru-e-KHamdar kya hue
wo naghma-KHwan-e-baad-e-bahaari kidhar gae
aashuftagan-e-nargis-e-bimar kya hue
wo hunar-e-inqalab ka mausam kahan gaya
wo aasman pe abr-e-guhar-bar kya hue
wo ilm-o-agahi ke muhafiz kidhar gae
zulmat-kade mein nur ke minar kya hue
aasan tha jin ke dam se kaDi dhup ka safar
wo shah-rah-e-zist ke ashjar kya hue
jo the hamare shahr ki pahchan ai 'niyaz'
wo sahiban-e-jubba-o-dastar kya hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.