wo nazar bad-guman si lagti hai
vo nazar bad-gumāñ sī lagtī hai
zindagī rā.egāñ sī lagtī hai
be-yaqīnī sī be-yaqīnī hai
har haqīqat gumāñ sī lagtī hai
lab ko zahmat hañsī kī kyā diije
jab hañsī bhī fuġhāñ sī lagtī hai
shahr-e-dil meñ hai kaisā sannāTā
ḳhāmushī bhī bayāñ sī lagtī hai
ḳhūgar-e-tīrgī hoñ jab āñkheñ
raushnī bhī dhuāñ sī lagtī hai
kaise guzregī zindagī ‘hātif’
har-ghaḌī imtihāñ sī lagtī hai
wo nazar bad-guman si lagti hai
zindagi raegan si lagti hai
be-yaqini si be-yaqini hai
har haqiqat guman si lagti hai
lab ko zahmat hansi ki kya dije
jab hansi bhi fughan si lagti hai
shahr-e-dil mein hai kaisa sannaTa
KHamushi bhi bayan si lagti hai
KHugar-e-tirgi hon jab aankhen
raushni bhi dhuan si lagti hai
kaise guzregi zindagi ‘hatif’
har-ghaDi imtihan si lagti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.