vo nazar hai surāġh meñ dil ke
phuul mahke haiñ daaġh meñ dil ke
hasratoñ kī na pūchh kaifiyyat
ḳhūn-e-dil hai ayāġh meñ dil ke
jal bujhī ek ek aas magar
gul hai raushan-charāġh meñ dil ke
vo jo aa.e to aa.e sub.h-e-bahār
ghup añdherā hai baaġh meñ dil ke
phir usī gul-badan kī yaad aa.ī
phir mahak sī hai daaġh meñ dil ke
yuuñ jhalaktā hai pyaar un āñkhoñ meñ
chāñd jaise ayāġh meñ dil ke
wo nazar hai suragh mein dil ke
phul mahke hain dagh mein dil ke
hasraton ki na puchh kaifiyyat
KHun-e-dil hai ayagh mein dil ke
jal bujhi ek ek aas magar
gul hai raushan-charagh mein dil ke
wo jo aae to aae subh-e-bahaar
ghup andhera hai bagh mein dil ke
phir usi gul-badan ki yaad aai
phir mahak si hai dagh mein dil ke
yun jhalakta hai pyar un aankhon mein
chand jaise ayagh mein dil ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.