wo nazar mehrban agar hoti
vo nazar mehrbāñ agar hotī
zindagī apnī mo'tabar hotī
nafratoñ ke tavīl sahrā meñ
in kī chāhat to ham-safar hotī
ai shab-e-ġham mire muqaddar kī
tere dāman meñ ik sahar hotī
lamha lamha aziyyateñ haiñ jahāñ
yaad hī un kī chāra-gar hotī
un se mansūb ho ga.e varna
zindagī kis tarah basar hotī
ham hī 'āġhāz' garm-e-sahrā the
zulf kyā sāya-e-shajar hotī
wo nazar mehrban agar hoti
zindagi apni mo'tabar hoti
nafraton ke tawil sahra mein
in ki chahat to ham-safar hoti
ai shab-e-gham mere muqaddar ki
tere daman mein ek sahar hoti
lamha lamha aziyyaten hain jahan
yaad hi un ki chaara-gar hoti
un se mansub ho gae warna
zindagi kis tarah basar hoti
hum hi 'aghaz' garm-e-sahra the
zulf kya saya-e-shajar hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.