wo nazar mehrban kya hogi
vo nazar mehrbān kyā hogī
dil kī duniyā javān kyā hogī
sunñe vaalā hī jab nahīñ koī
dāstāñ phir bayān kyā hogī
haiñ jo parvarda-e-ḳhizāñ yaaro
in bahāroñ meñ jaan kyā hogī
jo sar-e-shām hī bikhar jaa.e
aisī mahfil javān kyā hogī
jo pale pastiyoñ ke saath 'ḳhalish'
un kī ūñchī uḌaan kyā hogī
wo nazar mehrban kya hogi
dil ki duniya jawan kya hogi
sunne wala hi jab nahin koi
dastan phir bayan kya hogi
hain jo parwarda-e-KHizan yaro
in bahaaron mein jaan kya hogi
jo sar-e-sham hi bikhar jae
aisi mahfil jawan kya hogi
jo pale pastiyon ke sath 'KHalish'
un ki unchi uDan kya hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.