wo nazar ruThi hui hai aaj bhi
vo nazar rūThī huī hai aaj bhī
bikhrī bikhrī zindagī hai aaj bhī
TuuTe phūTe gaañv ke ghar meñ nazar
jaane kis ko DhūñDhtī hai aaj bhī
aa ga.ī thī un ke jaane se jo kal
zindagī meñ vo kamī hai aaj bhī
na sahī gahrī barā.e naam hī
un se merī dostī hai aaj bhī
āshiqoñ ke zehn-o-dil par hukmarāñ
husn kī bāzīgarī hai aaj bhī
garmī-e-bāzār ab bhī hai vahāñ
bastiyoñ meñ dilkashī hai aaj bhī
zehn ke tārīk goshoñ meñ abhī
nuqra.ī sī ik hañsī hai aaj bhī
gher letī haiñ jahāñ yādeñ mujhe
us nagar meñ vo galī hai aaj bhī
pī thī un āñkhoñ se ham ne mai kabhī
dil meñ 'anjum' tishnagī hai aaj bhī
wo nazar ruThi hui hai aaj bhi
bikhri bikhri zindagi hai aaj bhi
TuTe phuTe ganw ke ghar mein nazar
jaane kis ko DhunDhti hai aaj bhi
aa gai thi un ke jaane se jo kal
zindagi mein wo kami hai aaj bhi
na sahi gahri barae nam hi
un se meri dosti hai aaj bhi
aashiqon ke zehn-o-dil par hukmaran
husn ki bazigari hai aaj bhi
garmi-e-bazar ab bhi hai wahan
bastiyon mein dilkashi hai aaj bhi
zehn ke tarik goshon mein abhi
nuqrai si ek hansi hai aaj bhi
gher leti hain jahan yaaden mujhe
us nagar mein wo gali hai aaj bhi
pi thi un aankhon se hum ne mai kabhi
dil mein 'anjum' tishnagi hai aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.