wo nazm-o-zabt ke sab marhale guzar chuke hain
vo nazm-o-zabt ke sab marhale guzar chuke haiñ
havā meñ raakh ke mānind ham bikhar chuke haiñ
nisār 'ishq meñ karte haiñ log jaañ aur ham
ye 'āqibat hī kisī par nisār kar chuke haiñ
ye ġhusl-o-dafn kī rasmeñ to hoñgī jab hoñgī
takallufāt nafas ke haiñ ham to mar chuke haiñ
ye hast-o-būd ye daur-e-jahāñ musalsal hai
darūn-e-zāt to barsoñ se ham Thahar chuke haiñ
hasīb-e-bāġh-e-jahāñ kī nazar ke tālib haiñ
ham aise barg-o-samar ḳhuub ab nikhar chuke haiñ
ba-vaqt-e-sub.h guloñ par nikhār aa chukā hai
kaTore ashk-e-nadāmat se ḳhuub bhar chuke haiñ
ab aa.ine meñ ubhartā nahīñ hai 'aks mirā
'zahīr' had se ziyāda hī kuchh sañvar chuke haiñ
wo nazm-o-zabt ke sab marhale guzar chuke hain
hawa mein rakh ke manind hum bikhar chuke hain
nisar 'ishq mein karte hain log jaan aur hum
ye 'aqibat hi kisi par nisar kar chuke hain
ye ghusl-o-dafn ki rasmen to hongi jab hongi
takallufat nafas ke hain hum to mar chuke hain
ye hast-o-bud ye daur-e-jahan musalsal hai
darun-e-zat to barson se hum Thahar chuke hain
hasib-e-bagh-e-jahan ki nazar ke talib hain
hum aise barg-o-samar KHub ab nikhar chuke hain
ba-waqt-e-subh gulon par nikhaar aa chuka hai
kaTore ashk-e-nadamat se KHub bhar chuke hain
ab aaine mein ubharta nahin hai 'aks mera
'zahir' had se ziyaada hi kuchh sanwar chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.