wo nazron se meri nazar kaTta hai
vo nazroñ se merī nazar kāTtā hai
mohabbat kā pahlā asar kāTtā hai
mujhe ghar meñ bhī chain paḌtā nahīñ thā
safar meñ huuñ ab to safar kāTtā hai
ye maañ kī duā.eñ hifāzat kareñgī
ye ta.avīz sab kī nazar kāTtā hai
tumhārī jafā par maiñ ġhazleñ kahūñgā
sunā hai hunar ko hunar kāTtā hai
ye firqa-parastī ye nafrat kī āñdhī
paḌosī paḌosī kā sar kāTtā hai
wo nazron se meri nazar kaTta hai
mohabbat ka pahla asar kaTta hai
mujhe ghar mein bhi chain paDta nahin tha
safar mein hun ab to safar kaTta hai
ye man ki duaen hifazat karengi
ye tawiz sab ki nazar kaTta hai
tumhaari jafa par main ghazlen kahunga
suna hai hunar ko hunar kaTta hai
ye firqa-parasti ye nafrat ki aandhi
paDosi paDosi ka sar kaTta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.