wo nigah-e-jalwa-ara chahiye
vo nigāh-e-jalva-ārā chāhiye
zindagī kā isti.āra chāhiye
jī uThegā phir se quqnus-soḳhta
pahlī bārish kā ishāra chāhiye
lutf-e-hastī ke liye ham ko faqat
dard-o-ġham kā ik sahārā chāhiye
sard hotā jā rahā hai ab lahū
phir ragoñ meñ ik sharāra chāhiye
hoñ qalam-rau meñ mirī shams-o-qamar
is bulandī par sitārā chāhiye
zulmat-e-shab aur balāoñ kā nuzūl
ism-e-āzam kā sahārā chāhiye
ġham kī zad par hai dil-e-hirmāñ-nasīb
is safīne ko kinārā chāhiye
wo nigah-e-jalwa-ara chahiye
zindagi ka istiara chahiye
ji uThega phir se quqnus-soKHta
pahli barish ka ishaara chahiye
lutf-e-hasti ke liye hum ko faqat
dard-o-gham ka ek sahaara chahiye
sard hota ja raha hai ab lahu
phir ragon mein ek sharara chahiye
hon qalam-rau mein meri shams-o-qamar
is bulandi par sitara chahiye
zulmat-e-shab aur balaon ka nuzul
ism-e-azam ka sahaara chahiye
gham ki zad par hai dil-e-hirman-nasib
is safine ko kinara chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.